Wednesday, June 23, 2010

pal bhar ko mil k ajar e shanaasaayee de geya
ik shakhs , aik umr ki tanhayee de geya

aya tha shoq e charaahgari main koi magar
kuch aur dil k zakham ko gehrayee de geya

bichra to dosti k asaasay b butt gaye
shuhrat woh le geya muje ruswayee de geya

kis ki barhangi teri poshak ban gayee
kis ka lahu tha jo tujhey ru'anayee de geya

ab gin raha hoon chaak e girebaan ki dhajiyaan
deewangi ka shoq yeh danayee de geya

terey badan ka lamas kahan yaad tha muje
jhonka hawa ka dars e pazeerayee de geya

kiunkar na zindagi se ziada azeez ho
Mohsin woh zakham b to mera bhayee de geya

No comments: