tum esa krna,
koi jugnu koi sitara,
sambhal rakhna,
mere andheron ki fikr choro,
bs apne ghr ka khayal rakhna,
hamari ankhon ne jo mil k dekhe,
wo sare sapne sambhal rakhna,
judai apni to arzi he,
na dil me iska malal rakhna,
tumhari sansen,
tumhari dharkan,
suno,
hamari amanaten hen,
hamari khatir hi jan e jana,
hamesha apna khayal rakhna,
Tuesday, February 14, 2012
Thursday, January 19, 2012
Ik jahaa'n hon, jahaa'n jahaa'n hon main.
Bhuuli bisri c daastaa'n hon main.
Phuul hon bar-sar e sinaa'n hon main.
Naavak e nik'hat e nihaa'n hon main.
Lamakaanon ka ik makaa'n hon main.
Maawara e zamaa'n , zamaa'n hon main.
Main saraapa e ahsan e taqweem.
Ruuh e wal-asr main rawaa'n hon main.
Paekar e khaak o baad o aatish o aab.
Haan ye main hon magar kahaa'n hon main.
Aks dar aks, aks e haerat hon.
Kaesa khoya hua samaa'n hon main.
Ik ajab daaemi tamaasha hy.
Deeda o dil k darmiyaa'n hon main.
Aap aen ul yaqeen ho saaen.
Apny baary main be gumaa'n hon main.
Ho ata lams e lab, b' ism e Aziz.
Warna ik harf e raaegaa'n hon main.
Poet Aziz Shahid
Bhuuli bisri c daastaa'n hon main.
Phuul hon bar-sar e sinaa'n hon main.
Naavak e nik'hat e nihaa'n hon main.
Lamakaanon ka ik makaa'n hon main.
Maawara e zamaa'n , zamaa'n hon main.
Main saraapa e ahsan e taqweem.
Ruuh e wal-asr main rawaa'n hon main.
Paekar e khaak o baad o aatish o aab.
Haan ye main hon magar kahaa'n hon main.
Aks dar aks, aks e haerat hon.
Kaesa khoya hua samaa'n hon main.
Ik ajab daaemi tamaasha hy.
Deeda o dil k darmiyaa'n hon main.
Aap aen ul yaqeen ho saaen.
Apny baary main be gumaa'n hon main.
Ho ata lams e lab, b' ism e Aziz.
Warna ik harf e raaegaa'n hon main.
Poet Aziz Shahid
Monday, January 3, 2011
Wussat-e-Gham...!!!!~
Dard Se Yeh......
Raat Karah rahi Hai....
Sonay nahin Dayti Mujhay....
Gehri Khamoshi K seenay Main....
Karb Angaiz Siskiyaaan...
Paywast Ho rahi Hain...
Iski amber Fishaan zulfaain...
Wajood pe maire....
Chaai Ja rahi hain...
Maira Wajood?
Yani Main....
Nahin mujhay Ehsaas Jiska...
yeh Maira Wajood Hai..
Yeh Main hon...
Ya Dera Hai koi Gham Ka....
Ya...
Basaira Hasraton Ka...
Jis main Hain Qaid...
MEri Rooh Meri Jaaan....
Maira Dard....
Raat ki Nas Nas main...
kar chuka Saraiyaat...
Phailta hi Jata hai.....
jaisay Kay...
Parday-e Shaaab
Pori Kainaat Per..
Yeh Na thi mujhay khabaaR....
apne Gham ki Wussat ki......
Kitna Waseee hai maira Gham....
Simaat Jaay gar yeh.....
Kudh ko Bay Ghar paaon gi...
Main Kahan Phir jaaaon Gi..
Raat Karah rahi Hai....
Sonay nahin Dayti Mujhay....
Gehri Khamoshi K seenay Main....
Karb Angaiz Siskiyaaan...
Paywast Ho rahi Hain...
Iski amber Fishaan zulfaain...
Wajood pe maire....
Chaai Ja rahi hain...
Maira Wajood?
Yani Main....
Nahin mujhay Ehsaas Jiska...
yeh Maira Wajood Hai..
Yeh Main hon...
Ya Dera Hai koi Gham Ka....
Ya...
Basaira Hasraton Ka...
Jis main Hain Qaid...
MEri Rooh Meri Jaaan....
Maira Dard....
Raat ki Nas Nas main...
kar chuka Saraiyaat...
Phailta hi Jata hai.....
jaisay Kay...
Parday-e Shaaab
Pori Kainaat Per..
Yeh Na thi mujhay khabaaR....
apne Gham ki Wussat ki......
Kitna Waseee hai maira Gham....
Simaat Jaay gar yeh.....
Kudh ko Bay Ghar paaon gi...
Main Kahan Phir jaaaon Gi..
Raakh Dil ki kureedi Shararay Milaay......
Terigi main Hamaain tu Sitaray Milay....
Shorish-e-Arzoo Ne Kia dar ba dar....
Gham ki Bahon main ham ko sahare Milaay.....
is Qadar Dayrpa thin Wafaain meri...
Sab Dilon Main Nishaan bhi Hamaray milaay...
Kudh hameen ne unhain bhi daboo hi diya....
gardishon main kabhie jab kinaray Milaay...
Her wazahaat adhori rahi..go teri....
Unkahi baat main bhi isharay milaay...!!!!
Terigi main Hamaain tu Sitaray Milay....
Shorish-e-Arzoo Ne Kia dar ba dar....
Gham ki Bahon main ham ko sahare Milaay.....
is Qadar Dayrpa thin Wafaain meri...
Sab Dilon Main Nishaan bhi Hamaray milaay...
Kudh hameen ne unhain bhi daboo hi diya....
gardishon main kabhie jab kinaray Milaay...
Her wazahaat adhori rahi..go teri....
Unkahi baat main bhi isharay milaay...!!!!
Tassawur Main Baharon Ka Saman Hai...
Magar Dil Main Kahin Dagh-e-Khizaan Hai....!!!~
Muyyasir Hi Nahin Insaan Yahan Per.....
Khudaya Ye Tera Kaisa Jahan Hai...!!~
Tu Rahay Shamil Agar Her Yaad Main.....
Zindigi Ka Silsila Chalta Rahay...!!!~
Gar Bhula Don Ajnabi Sa Wo Lagay....
Jab Talak Sochon Ussay Apna Rahay..!!~
Magar Dil Main Kahin Dagh-e-Khizaan Hai....!!!~
Muyyasir Hi Nahin Insaan Yahan Per.....
Khudaya Ye Tera Kaisa Jahan Hai...!!~
Tu Rahay Shamil Agar Her Yaad Main.....
Zindigi Ka Silsila Chalta Rahay...!!!~
Gar Bhula Don Ajnabi Sa Wo Lagay....
Jab Talak Sochon Ussay Apna Rahay..!!~
Tang a chukay hain kashmakash zindigi se ham..
Thukra na dain jahan ko kahin bay dilli se ham..
Mayosi-e-Mal-e-Mohabbat na pochiyeh...
Apnon se paaish aay hain baygangi se ham...
Lo aaj ham ne tor dia rishta-e-Umeed..
Lo ab kabhie Gila na karain gay kisi se ham...
Ubhrain gay aik bar abhi dil k walwalay...
Go dab gay hain bar-e-Gham-e-zindigi se ham...
Gar zindigi main mil gay phir itefaq se
Pochain gay apna haal teri bay basi se ham...
Allah re Faraib-e-mashiyat ke Aj tak..
Duniya ke Zulm Sehtay Rahay Khamoshi ke Sath..!!!~
Thukra na dain jahan ko kahin bay dilli se ham..
Mayosi-e-Mal-e-Mohabbat na pochiyeh...
Apnon se paaish aay hain baygangi se ham...
Lo aaj ham ne tor dia rishta-e-Umeed..
Lo ab kabhie Gila na karain gay kisi se ham...
Ubhrain gay aik bar abhi dil k walwalay...
Go dab gay hain bar-e-Gham-e-zindigi se ham...
Gar zindigi main mil gay phir itefaq se
Pochain gay apna haal teri bay basi se ham...
Allah re Faraib-e-mashiyat ke Aj tak..
Duniya ke Zulm Sehtay Rahay Khamoshi ke Sath..!!!~
Subscribe to:
Posts (Atom)
