Saturday, July 31, 2010

:
Phir Se Rog Lagao Tum,
Mujhse Rabtay Bharao Tum,
Kaise Sab Kuch Bholay Ho,
Mujhko Bhi Samjhao Tum,
Jaise Bairsh Sawan Ki,
Ek Din Aise Aao Tum,
Main Ne Jee Bhar K Rona Hai,
Mujhko Khuwab Dekhao Tum,
Buhat Kuch Kho Chuka Hoon Main,
Ab Mere Ho Jao Tum.....!!!

Thursday, June 24, 2010

میری موت ہے میری ہمسفر، میری زندگی بھی عجیب ہے
میرے چاروں طرف ہے جلوہ گر، تیری بے رُخی بھی عجیب ہے

میرا درد ہے لبِ آشنا، تیری رنجشوں کے عذاب سے
میرے شعر ہیں میرے چارہ گر، میری دل لگی بھی عجیب ہے

جو ہیں طعنہ زن میری ذات پر، مجھے ان سے کوئی گلہ نہیں
مجھے جان سے وہ عزیز تر، میری دوستی بھی عجیب ہے

میں لہو جگر سے گداز کر، تجھے نقش کرتا ہوں ورق ورق
ہے قلم کی نوک سے مختصر، تیری آگہی بھی عجیب ہے

میں پہر کی تپتی ہواؤں سے، کڑی دھوپ میں کھڑا بے خبر
سرِ راہ گزر تیرا منتظر، میری بے بسی بھی عجیب ہے

Wednesday, June 23, 2010

pal bhar ko mil k ajar e shanaasaayee de geya
ik shakhs , aik umr ki tanhayee de geya

aya tha shoq e charaahgari main koi magar
kuch aur dil k zakham ko gehrayee de geya

bichra to dosti k asaasay b butt gaye
shuhrat woh le geya muje ruswayee de geya

kis ki barhangi teri poshak ban gayee
kis ka lahu tha jo tujhey ru'anayee de geya

ab gin raha hoon chaak e girebaan ki dhajiyaan
deewangi ka shoq yeh danayee de geya

terey badan ka lamas kahan yaad tha muje
jhonka hawa ka dars e pazeerayee de geya

kiunkar na zindagi se ziada azeez ho
Mohsin woh zakham b to mera bhayee de geya

Tuesday, November 17, 2009

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....!!


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

MerayBaad Enhay Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Chahaat Ban Jaye Gi ek Afsana,

Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Meray Tak Hain Yeh Tamam Gulzaar Nazaray,

Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun,

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay,

Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana,

Meri Lafzon Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan,

Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun,

Meray Darakhtoon pe wafaon ke patte abhi Baqi hai,

Meray baad inhain Labraiz karega kaun,

Teri Ummed ke Chiragon main lo abhi baqi hai,

Meray baad inhain roshan karega kaun.

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Saturday, June 6, 2009

sawad-e-zindagni main

ek esi shaam aati hay

ke jis kay sarmai anchal main

koi phool hota hay

na hathon nain koi tara!

jo aa kar bazoun main tham le

phir bi

rag-o-pay main koi aahat nahin hoti

kisi ki yaad ati hay

na koi bhool pata hay

na koi gham sulagta hay

na koi zakham silta hay

gally milta hay koi khuab

na koi tamna hath milti hay

sawad-e-zindagi main

ek esi shaam ati hay

jo khali hath ati hay!

Friday, June 5, 2009

Bondain Nahin Sitary....
Tapkay Hain Kehkashan Se....
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Moti K Rung Rut K Qatray Damak Rahay Hain...
Ya Reshmi Latton Main Jugnoo Chamak Rahay Hain...
Anchal Main Jaisay Bijli Konday Yahan Wahan Se..
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Dekhay Tu Koi Alam Bheegay Se Paidrehan ka..
Pani Main Hai Shola Ya Noor Hai Badan Ka..
Angrai Lay Rahay Hain Arman Jawan Jawan Se..
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Pehloo Main Akay Maire Kia Cheese Lag Rahi Ho..
Bahon Kay Dairay Main Tasveer Lag Rahi Ho..
Hairan Hon Kay Tumko Dekhon Kahan Kahan Se...
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se...
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se...

Monday, June 1, 2009

kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah


badhaa ke pyaas merii us ne haath chhod diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah


kise Khabar thii badegii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii mein chaandanii kii tarah


kabhii na sochaa thaa hamne "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah