Sunday, January 11, 2009

a Ghazal~



Woh pani ki lehron pe kya likh raha tha¤
Khuda janay harf-e-dua likh raha tha¤
Likha tha jisne wafa ka mani adhoora¤
Woh shakhs piyar ki intiha likh raha tha¤
Zara b uski ankh se ansoo nai niklay¤
Wo jis waqt lafz-e-saza likh raha tha¤
Muhabat me nafrat mili thi usay¤
Wo har shakhs ko bewafa likh rha tha¤

Thursday, January 8, 2009

A beautiful Ghazal by Mohsin Naqvi!

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?
--Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-
LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein..
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

Friday, January 2, 2009

-----Magar-----




Tum Se Bohat Kuch Kehna Hai..
----Magar----
Kabhie Tum Nahin Milte Tu..
Kabhie Alfaz Nahin Milte...
Ik Naee Duniya Basana Chahti Hon...
----Magar....
Kabhie Neend Nahin Aati...
Kabhie Khawab Nahin Milte...
Yeh Dooriyan Tu Mita Don Main Ik Pal Main...
---Magar.....
Kabhie Qadam Nahin Chalte Tu...
Kabhie Rastay Nahin Milte...!!~