Saturday, June 6, 2009

sawad-e-zindagni main

ek esi shaam aati hay

ke jis kay sarmai anchal main

koi phool hota hay

na hathon nain koi tara!

jo aa kar bazoun main tham le

phir bi

rag-o-pay main koi aahat nahin hoti

kisi ki yaad ati hay

na koi bhool pata hay

na koi gham sulagta hay

na koi zakham silta hay

gally milta hay koi khuab

na koi tamna hath milti hay

sawad-e-zindagi main

ek esi shaam ati hay

jo khali hath ati hay!

Friday, June 5, 2009

Bondain Nahin Sitary....
Tapkay Hain Kehkashan Se....
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Moti K Rung Rut K Qatray Damak Rahay Hain...
Ya Reshmi Latton Main Jugnoo Chamak Rahay Hain...
Anchal Main Jaisay Bijli Konday Yahan Wahan Se..
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Dekhay Tu Koi Alam Bheegay Se Paidrehan ka..
Pani Main Hai Shola Ya Noor Hai Badan Ka..
Angrai Lay Rahay Hain Arman Jawan Jawan Se..
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se....
Pehloo Main Akay Maire Kia Cheese Lag Rahi Ho..
Bahon Kay Dairay Main Tasveer Lag Rahi Ho..
Hairan Hon Kay Tumko Dekhon Kahan Kahan Se...
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se..
Bondain Nahin Sitary....Tapkay Hain Kehkashan Se...
Sadqay Utar Rahay Hain Tum Per Ye Asmaan Se...

Monday, June 1, 2009

kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah


badhaa ke pyaas merii us ne haath chhod diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah


kise Khabar thii badegii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii mein chaandanii kii tarah


kabhii na sochaa thaa hamne "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah
Bara kathin hai raasta jo aa sako tu saath do,
yeh zindagi ka fasla mita sako tu saath do,

Barey fareb khao gey,barey sitam uthao gey
yeh umar bhar ka saath hai,nibha sako tu saath do,

jo tum kaho yeh dil tu kiya mein jaan bhi fida karoon,
jo mein kahon bus ik nazar luta sako tu sath do,

mein ik ghareeb benawa mein ik faqeer be sadaa
meri nazar ki iltija jo pa sako tu saath do,

hazar imtihann yahan hazaar aazmayeishein,
hazaar dukh hazaar ghum utha sako tu saath do,

yeh zindagi yahan khushi ghamoon ka saath hai,
Rula sako tu satth do,hansa sako tu saath do

Mohobat jeet hoti hai mager yeh haar jati hai,
Kabhi dil sooz lamho say, kabhi beykaar rasmoon say,
Kabhi taqdeer walaon say, kabhi majboor kasmoon say,
Kabhi yh khwaab hoti hai, kabhi beytaab hoti hai,
Kabhi yeh dar jati hai, kabhi yeh maa jati hai,
Mohobat jeet hoti hai mager yeh haar jati hai...
Kabhi masroor kerti hai, kabhi yeh sog deti hai,
Kisi ka chain hoti hai, kisi ko rog deti hai,
Kisi ki ankh main humdum, kahan ik baar jati hai,
Jahan tazleeel hois ki, waheen her bar jait hai
Mohobat jeet hoti hai magr yeh haaar jati hai

Barishon k mousam mein
Tum ko yaad karnay ki
Aadatain purani hain

Ab ki baar socha hai
Aadatain badal dalain
Phir khayal aaya k

Aadatain badalnay say
Baarishain nahin rukteen.
baad muddat unhein dekh kar yuun lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuon ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa

tashnaa nazarein miliin shokh nazaron se jab
mai barasane lagii jaam bharane lagaa
saaqiiyaa aaj terii zaruurat nahiin
bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa

raat sone lagii subah hone lagii
shammaa bujhane lagii dil machalane lage
vaqt kii raushanii me.n nahaaii huii
zindagii pe ajab saa nikhaar aa gayaa

har taraf mastiyaan har taraf dilkashii
muskuraate dilon mein Khushii hii Khushii
kitanaa chaahaa magar phir bhii uTh na sakaa
terii mahafil mein jo ek baar aa gaya................
bichre hue logon ki sadayen maar deti hain
kuch parda nashinon ki adayaen maar deti hain

kisi ko raas aa jati hai badua dosto!
or kisi ko apno ki duayen maar deti hain

wo shaakh se totay hue bad-naseeb pattay
jinhen har musam main hawayen maar deti hain

kis ko dosh na do oski bewafai ka!
chahne waalon ko apni hi khatayen maar deti hain

hazaar ghum seh kar bh jo rehte hain wafa par qaaim
aise shehr-e-wafa logon ko wafayen maar deti hain..!!
Tera dard tha
Teri yaad the
Main jaha raha
Main jidher gaya
Mera din tou yunhi guzar gia
Junhi shaam hoi main bekher gia
Ess abr kaa mery yaar sai
Bara milta julta mijaz thaa
Kbhi toot ker baras gia
Kbhi bairukhi sai guzar gia
Usi yaad aiy gee tab meri
Jis din main us sai khoo gia...!!!