Thursday, January 3, 2008

Dukh Anmol Hotay Hain..!!


Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Qudrat ki wadiyat hotay hain...
kabhie kuch day ke jatay hain
kabhie sab kuch cheen layte hain
kabhie baychain kartay hain..
kabhie jeena sikhatay hain..
kabhie bantay hain jab ansooo
umer bhar lahoo rulatay hain..
kabhie lab ki haseee ban kar
naee duniya sajatay hain..
kabhie meethi kasak bankar
anjani khalish bankar..
makeen-e-dil yeh bantay hain
kisi soorat nahi mit'tay
jo in se door bhago tu
kahin jane nahi dayte
na zinda rehnay dayte hain..
na yeh azaad kartay hain
nahin jiski dawwa koi...
Magar yeh bhi haqeeqat hai
her aik ko tu nahi miltay..
baray Nayaab hotay hain
Dukh Anmol Hotay Hain..!!

Wednesday, January 2, 2008

Phir Yeh Zindigi...!!!!


Us Mor Se Shuru Karaain ..Phir Yeh Zindigi....
Her Shay Jahan Haseen Thi...Ham Tum Thay Ajnabi...
Her Shay Jahan Haseen Thi... Ham Tum Thay Ajnabi...
Us Mor Se Shuru Karaain .. Phir Yeh Zindigi....
Lay Kar Chalay Thay Ham Jinhaain...
Janat K Khawab Thay..
Phoolon K Khawab Thay ..
Mohabbat K Khawab Thay..
Laykin Kahan Hai In Main Pehli Si Dilkashi....
Us Mor Se Shuru Karaain ..phir Yeh Zindigi....
Rehte Thay Ham Haseen Khayalon Ki Bheer Main...
Uljhay Huay Hain Aaj Sawalon Ki Bheer Main
Anay Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Ghari..
Us Mor Se Shuru Karaain ..Phir Yeh Zindigi....
Her Shay Jahan Haseen Thi... Ham Tum Thay Ajnabi..
Us Mor Se Shuru Karaain .. Phir Yeh Zindigi....
Shaid Yeh Waqt Ham Se Chaal Chal Gaya..
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rungon Main Dhal Gaya
Ashkon Ki Chandni Si Thi ...beh Kar Doobi...
Us Mor Se Shuru Karaain ..Phir Yeh Zindigi....
Her Shay Jahan Haseen Thi... Ham Tum Thay Ajnabi..
Us Mor Se Shuru Karaain .. Phir Yeh Zindigi....!!~

Tuesday, January 1, 2008


Udaas Rut...
IntezaaR Mausam....
Hawa Ki Yakh Basta Aahaton Se Paray..
Khamoshi Ki Zard Chadar Badan Orhay...
Khizan Raseeda Shajar Ki Tehni Pe Jhoolta Chand Keh Raha Hai...
Keh.. So Bhi Jaoo...
Keh.. So Bhi Jaoo Udaas Logo!!
Wo Ajnuman Jis Ki Jhilmilati Tamam Shamaain..
Tamam Rataain...
Tamam Bataain...
Kabhie Tumhari Mohabbaton Se Bhare Zamanon Ki Tarjuman Thin...
Kabhie Tumhare Tamam Lamhon Pe Mehrbaan Thin..
Wo Anjuman Ab Tumhari Sochon Se Door...
Khawabon Ki Dastakon Se Paray Sajjay Gi..
Kabhie Tumhare Badan Ki Khushboo Se Khailti Thi Jo Raat Rani...
Wo Hijr Ke Adh Khulay Dareechay Main Hanmpte Huay..
Akhri Saans Lay Rahi Hai...
Udaas Logo!!
Ujaar Ankhon Ke Aainay Tordo Keh In Main..
Na Koi Aaks Nigaar Hasti...
Na Koi Basti Hi Basaa Sako Gay...
Bas Ik Mata-e-Hayaat Baqi Hai Ab Jisse Tum..
Ganwa Sako Gay...
Tu Is Se Pehle Ke Saans Ki Dori Toot Jay...
Hawa Ki Hatheli Se...
Khusboaaon Ka Her Rishta Hi Toot Jay..
Kiran Kawaron Ko Band Kar Ke..
Ujar Khawabon Ki Rehguzar Ka Gubar Ankhon Main Bhar Ke...
Har Soo Hawa Ke Hathon Bikher Bikher Ke...
Kudh Apne Ander Ke Dukh Ki Matti Main Kho Bhi Jaao!
Hawa Yeh Kehti Hai.. So Bhi Jao...
Udaas Rut..
IntezaaR Mausam...
Kabhie Kissi Ke Na Ho Sakaain Gay...
Udaas Logo!!