Monday, November 29, 2010

AUR MUJHAY SIRF PAYAR CHAHIYE THA…

Dard k Baadbaan Say Lag Kar...

Zindgi ka Qaraar chahiye tha

Baat itni si hai ..TUMHAY Mujh say

Raat Din ka Shumaar Chahiye tha

"Aur Mujhay Sirf Pyaar Chahiye Tha"

Main Bohat Raigzaar mein khush tha

Dard k Karobaar mein khush thaaa

Tum ko Dunia k Sath Chalna tha

Aish-o-Ishrat, Waqaar Chahiye thaa

"Aur Mujhay Sirf Pyaar Chahiye Tha

APP BOHAT YAD AATAY HEIN…!!~


Ghanghoor Ghataey Aatay Hain

Jab Nadyaan Jhomte Gaatay Hain

JabLahrain Shoor Machatay Hain

JabAap Bohat Yaad Aatay Hain

Badal Baras Kar Chat Jatay Hain

Qatray Mouti Ban Jatay Hain

Kirnay Rang Bikhratay Hain

Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Do Dewanay Jab Miltay Hain

Phool Mohabbat Kay Khiltay Hain

Dewaray Bhi Gaatay Hain

Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Chanda Tumhari Yadain Lay Kar

Kirnoon Ke Barsatain Lay Kar..!!~

Chaandni Ratain Aatay Hain

Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain..!!~


Aao Kay Hum...

Apni Apni Ranjshon KO Bhula Dain...

Dil Say Kadoortun Kay Ghubaar KO Nikal Dain...

Aur Nafratain...

Jo Boi Hain Ghalt Fehmion Nay...

Unhain Mitta Dain...

Agar Tum Pehal Nahin Kartay To Chalo...

Hum Hi Qadam Barha Dain ...

Ka Mohabbaton Mein ....

Aana Ki Baat Nahin Chalti..!

Shukar Hai Kay Sukh Ki Sari Duaain Kabool Nahin Ho Jatin…Warna Tu Kabhie Ham Apnay Aap KO…Dekh Sakain Na Sun Sakain, Aur Na Kabhie Choo Sakain…!!!~

Yeh dil yeh pagal dil mera kion bujh gaya, awargi!
is dasht main ik sheher tha, woh kia hoa, awargi!

kal shab mujhay bay shakal si awaaz nay chonka dia
main nay kaha tu kon hya? us nay kaha, "awargi"

logoo bhala is sheher main kesey jeyeengay hum, jahan
ho jurm tanha soochna, laikin saza "awargi"

yeh derd ki tanhaiyaan, yeh dasht ka weeraan safar
hum loog to ukta gayeee, apni sunaa "awaargi"

ik ajnabi jhonkay nay jub poocha mairey ghum ka sabab
sehra ki bheegi rait peh, main nay likha "Awargi"

us simt main wehshi khuwahishoon ki zad main paimaan-e-wafa
is simt lehroon ki dhamak, kacha ghara, awargi

kal raat tanha chand ko daikha tha main nay khuwaab main
Mohsin mujhay raas ayee gi shaid sada Awargi......................
Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat
Tum Apni Neend Bujhaa,o, Tum Apnay Khuaab Chuno
Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kiya Dena
Tum Apnay Dil Main Dharaktay Hovay Haroof Suno
Tumharay Shehar Ki GaliyooN Main Sail-E-Rang Bakhair
Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
NahiN Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
Har Aik Sadaa Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin
Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi KiyoN Tootay
Sabaa Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
Hum Aisay Log Bohat HaiN Jo Sochtay Hi Nahin
Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gayee
Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kiya Jaanay
Kay Fasal-E-Bakhshish-E- Moj-E-Furaat Beet Gayee
Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Nooch Dala Hay
Woh Aik Sadii Thee Jo Bay-Iltifaat Beet Gayee
Hamari Aankh Lahoo Hay, Tumhein Khaber Hogi
Chiraagh Khud Se Bujha Hay Kay Raat Beet Gayee
Wooh Bhee Kia DIn Thay Kay Pal Main Ker Diya Kertay Thay Hum...Ummr Bhaar Ke Chahatain Her Aik Herjai Kay Naam

Wooh Bhee Kia Mausaam Thay Jin Ke Nikhatoon Kay Zaika...Likh Diya Kertay Thay Khaal-o-Khad Ke Ranaai Kay Naam

Wooh Bhee Kia Subhhain Theen Jis Ke Muskurahat Ka Fasoon..Wakf Tha Ahl-e-Zubaan Ke Bazmm Arai Kay Naam

Wooh Bhee Kia Shaammain Theen Jin Ke Shohraatain Mansoob Theen...Be-Sabab Khultay Hue Baloon ke Ruswai Kay Naam

Ab!...Yeah Alaam hai Kay Her Taza Qyamaat Ka Azaab..Apnay Dil Main Jagtay Zakhmoon Ke Gehrai Kay Naam

Ab! kay Apnay Ansoon Kay Saab Shakista Ayeenay...Kuch Zamanay Kay Liye Kuch ...Apni Tenhai Kay Naam
Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se
Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se


Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaan,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaraan
Main ghumgusaaroon mein sochta hoon,keh baat chheroon kahan kahan se


Ye sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke...!!
Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se


Bichharrnay walay bichherr chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata
Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se


Meri mohabbat ke wehmoon se paray tha tera wajood warna..!!
Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan wahan se


Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai
Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se


Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN
Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se
Wo larki bhi aik ajeeb paheli thi
piyasay hont thay, ankh samander jaisi thi

Soraj usko dekh kay peela parta tha
wo sarma ki dhoop main dhul kar nikalti thi

usko apnay saay say dar lagta tha
soch kay sehra main wo tanha hirni thi

atay jatay mausam usko dastay thay
hanstay hanstay palkon say roo parti thi

adhi raaat ganwa dayti thi chup reh kar
adhi raat kay chand say batain karti thi

dooor say ujray mandir jaisa ghar uska
wo apnay ghar main ikloti dayvi thi!

moom say nazuk jism sehr ko dukhta tha
diyeh jala kar shab-ber aap pighalti thi!

taiz hawa ko rok kay apnay anchal per
sookhay phool ikathay karti phirti thi

sab per zahir kar dayti thi bhaid apna
sab say ik tasveer chuppaye rakhti thi

kaal shab chikna chor hua tha dil uska
ya phit pehli baar wo khul kay roeee thi

mohsin kia janay kiyon dhoop say bay-perwa
wo apnay ghar ki dehleez per baithi thi?
Wo bazahir jo zamane se khafa lagta ha
Hans ke bole bhi tu duniya se juda lagta ha

aur kuch dayr na bujhne de issay Rabb-e-Sahar
Doobta chaand mera dast-e-dua lagta ha

jis se maoun phair ke raste ki hawa guzri ha
kisi ujray huay angan ka dia lagta ha

Ab ke sawan main bhi zardi na gai chehron ki
aisay mausam main tu jungle bhi hara lagta ha

shehr ki bheer main khilte hain kahan uske naqoosh
Aaao tanhaee main sochain ke wo kia lagta ha

Maoun Chuppay huay guzra ha jo Ahbab se aaaj
uski ankhon main koi zakhm naya lagta ha

Ab tu "Mohsin" ke tasawur main utar Rabb-e-Jaleel
is udasi main tu pathar bhi khuda lagta ha..!!!

Ashaaar (Mohsin Naqvi)

Yeh Tera Gham Tha K Roya Tera Mohsin Werna ...
Gham Chupa Ker Usay Hanstay Huay Aksar Dekha .!!!

-===========-

Wafa ki basti main rehnay waloon say hum nay mohsin yeah taur seekhay....
Jahan mohabbat main khot dekho, wafa main tum bhi kharay na rehna..!!~

-===========-

vo mujh se barh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa ..
varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii ..!!~

-===========-

Ussay Ganwa Kay Main Zinda Hu Mohsin..
Kay Jaisay Taiz Hawa Main Jalta Charaagh..!!~

-===========-

Us ko galaf-e-rooh main rakha senbhal ker..'Mohsin'
wo zakham bhi tu kissi aashna ka tha..!!~

-===========-

us k hoontooo k tabbasum main thi khushboo gham ki...
humm nay mohsin ko bohat dair say samjha yaroo...!!~

-===========-
Zindgi log jisy marham'e gham jaantay hain...
jis tarha ham ne guzaari ha ham jaanty hain...
ae dard kuch or ataa kar k tery dard nawaz ...
ye sakhawat tery ma'eyar se kam jaanty hain..!!

Aey Tez Hawa Naraz Na Ho (Mohsin Naqvi)

Aey tez hawa naraz na ho

Iss Dil main salamat hai ab tak
Wo shokhi-e-lab, wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam,wo akks-e-hina
Sau baar jisay chooma ham nay
Sau baar parastish ki jis ki

Iss Dil main salamat hai ab tak
Wo gard-e-alam, wo deeda-e-nam
Ham jis main chupa kar rakhtay thay
Tasveer bikharti yaadon ki
Zanjeer pighaltay wadon ki
Poonji naakaam iradon ki

Aey tez hawa naraz na ho

Iss Dil main salamat hai ab tak
Saamaan bicharti Sa'at ka
Kuch tukray garm dopehron kay
Kuch rezay narm sawalon kay
Kuch durr anmol khayalon kay
Ikk sacha roop haqeeqat ka
Ikk jhoota lafz Mohabbat ka

Saturday, July 31, 2010

:
Phir Se Rog Lagao Tum,
Mujhse Rabtay Bharao Tum,
Kaise Sab Kuch Bholay Ho,
Mujhko Bhi Samjhao Tum,
Jaise Bairsh Sawan Ki,
Ek Din Aise Aao Tum,
Main Ne Jee Bhar K Rona Hai,
Mujhko Khuwab Dekhao Tum,
Buhat Kuch Kho Chuka Hoon Main,
Ab Mere Ho Jao Tum.....!!!

Thursday, June 24, 2010

میری موت ہے میری ہمسفر، میری زندگی بھی عجیب ہے
میرے چاروں طرف ہے جلوہ گر، تیری بے رُخی بھی عجیب ہے

میرا درد ہے لبِ آشنا، تیری رنجشوں کے عذاب سے
میرے شعر ہیں میرے چارہ گر، میری دل لگی بھی عجیب ہے

جو ہیں طعنہ زن میری ذات پر، مجھے ان سے کوئی گلہ نہیں
مجھے جان سے وہ عزیز تر، میری دوستی بھی عجیب ہے

میں لہو جگر سے گداز کر، تجھے نقش کرتا ہوں ورق ورق
ہے قلم کی نوک سے مختصر، تیری آگہی بھی عجیب ہے

میں پہر کی تپتی ہواؤں سے، کڑی دھوپ میں کھڑا بے خبر
سرِ راہ گزر تیرا منتظر، میری بے بسی بھی عجیب ہے

Wednesday, June 23, 2010

pal bhar ko mil k ajar e shanaasaayee de geya
ik shakhs , aik umr ki tanhayee de geya

aya tha shoq e charaahgari main koi magar
kuch aur dil k zakham ko gehrayee de geya

bichra to dosti k asaasay b butt gaye
shuhrat woh le geya muje ruswayee de geya

kis ki barhangi teri poshak ban gayee
kis ka lahu tha jo tujhey ru'anayee de geya

ab gin raha hoon chaak e girebaan ki dhajiyaan
deewangi ka shoq yeh danayee de geya

terey badan ka lamas kahan yaad tha muje
jhonka hawa ka dars e pazeerayee de geya

kiunkar na zindagi se ziada azeez ho
Mohsin woh zakham b to mera bhayee de geya