Thursday, January 8, 2009

A beautiful Ghazal by Mohsin Naqvi!

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?
--Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-
LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein..
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

6 comments:

Unknown said...

subhan allah kya shayri hai

shah said...

Mohsin jaisa Poet sadiyon mein 1 bar peda hota hai. aur badbakht qom osay b kho bethi. Allah osay apnay jawar-e-Rehmat mein rakhay. Amin

from Tehzib and Tasawar Kazmi

shah said...

Allah Mohsin k Qaatlon ko jhanam naseeb kray. Amin

mudasir naqvi said...

Allah unhen jannat mein buland darja ataa farmyen. Aameen

Anonymous said...

Yes Mohsin the legend ,HE was a universal poet, He is always alive in hearts of people.May his soul rest in peace in heaven ,(ameen)

From Ayyaz Hussain..azi

Anonymous said...

YES Mohsin The Legend, He was a universal Poet.He is always in hearts of People .May his soul rest in peace in heaven ameen

From azi