Monday, November 29, 2010

Aey Tez Hawa Naraz Na Ho (Mohsin Naqvi)

Aey tez hawa naraz na ho

Iss Dil main salamat hai ab tak
Wo shokhi-e-lab, wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam,wo akks-e-hina
Sau baar jisay chooma ham nay
Sau baar parastish ki jis ki

Iss Dil main salamat hai ab tak
Wo gard-e-alam, wo deeda-e-nam
Ham jis main chupa kar rakhtay thay
Tasveer bikharti yaadon ki
Zanjeer pighaltay wadon ki
Poonji naakaam iradon ki

Aey tez hawa naraz na ho

Iss Dil main salamat hai ab tak
Saamaan bicharti Sa'at ka
Kuch tukray garm dopehron kay
Kuch rezay narm sawalon kay
Kuch durr anmol khayalon kay
Ikk sacha roop haqeeqat ka
Ikk jhoota lafz Mohabbat ka

No comments: