Monday, November 29, 2010

Wo bazahir jo zamane se khafa lagta ha
Hans ke bole bhi tu duniya se juda lagta ha

aur kuch dayr na bujhne de issay Rabb-e-Sahar
Doobta chaand mera dast-e-dua lagta ha

jis se maoun phair ke raste ki hawa guzri ha
kisi ujray huay angan ka dia lagta ha

Ab ke sawan main bhi zardi na gai chehron ki
aisay mausam main tu jungle bhi hara lagta ha

shehr ki bheer main khilte hain kahan uske naqoosh
Aaao tanhaee main sochain ke wo kia lagta ha

Maoun Chuppay huay guzra ha jo Ahbab se aaaj
uski ankhon main koi zakhm naya lagta ha

Ab tu "Mohsin" ke tasawur main utar Rabb-e-Jaleel
is udasi main tu pathar bhi khuda lagta ha..!!!

No comments: