Monday, June 1, 2009

bichre hue logon ki sadayen maar deti hain
kuch parda nashinon ki adayaen maar deti hain

kisi ko raas aa jati hai badua dosto!
or kisi ko apno ki duayen maar deti hain

wo shaakh se totay hue bad-naseeb pattay
jinhen har musam main hawayen maar deti hain

kis ko dosh na do oski bewafai ka!
chahne waalon ko apni hi khatayen maar deti hain

hazaar ghum seh kar bh jo rehte hain wafa par qaaim
aise shehr-e-wafa logon ko wafayen maar deti hain..!!

No comments: