Monday, June 1, 2009

Bara kathin hai raasta jo aa sako tu saath do,
yeh zindagi ka fasla mita sako tu saath do,

Barey fareb khao gey,barey sitam uthao gey
yeh umar bhar ka saath hai,nibha sako tu saath do,

jo tum kaho yeh dil tu kiya mein jaan bhi fida karoon,
jo mein kahon bus ik nazar luta sako tu sath do,

mein ik ghareeb benawa mein ik faqeer be sadaa
meri nazar ki iltija jo pa sako tu saath do,

hazar imtihann yahan hazaar aazmayeishein,
hazaar dukh hazaar ghum utha sako tu saath do,

yeh zindagi yahan khushi ghamoon ka saath hai,
Rula sako tu satth do,hansa sako tu saath do

2 comments:

Master said...

Bohat khoobsurat shayari hai aap ki. Bohat aala. Allah aap ko mazeed nikhar de, Aamin.

BlueBell said...

shukria~