Bara kathin hai raasta jo aa sako tu saath do,
yeh zindagi ka fasla mita sako tu saath do,
Barey fareb khao gey,barey sitam uthao gey
yeh umar bhar ka saath hai,nibha sako tu saath do,
jo tum kaho yeh dil tu kiya mein jaan bhi fida karoon,
jo mein kahon bus ik nazar luta sako tu sath do,
mein ik ghareeb benawa mein ik faqeer be sadaa
meri nazar ki iltija jo pa sako tu saath do,
hazar imtihann yahan hazaar aazmayeishein,
hazaar dukh hazaar ghum utha sako tu saath do,
yeh zindagi yahan khushi ghamoon ka saath hai,
Rula sako tu satth do,hansa sako tu saath do
Monday, June 1, 2009

Mohobat jeet hoti hai mager yeh haar jati hai,
Kabhi dil sooz lamho say, kabhi beykaar rasmoon say,
Kabhi taqdeer walaon say, kabhi majboor kasmoon say,
Kabhi yh khwaab hoti hai, kabhi beytaab hoti hai,
Kabhi yeh dar jati hai, kabhi yeh maa jati hai,
Mohobat jeet hoti hai mager yeh haar jati hai...
Kabhi masroor kerti hai, kabhi yeh sog deti hai,
Kisi ka chain hoti hai, kisi ko rog deti hai,
Kisi ki ankh main humdum, kahan ik baar jati hai,
Jahan tazleeel hois ki, waheen her bar jait hai
Mohobat jeet hoti hai magr yeh haaar jati hai

baad muddat unhein dekh kar yuun lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarazuuon ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa
tashnaa nazarein miliin shokh nazaron se jab
mai barasane lagii jaam bharane lagaa
saaqiiyaa aaj terii zaruurat nahiin
bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa
raat sone lagii subah hone lagii
shammaa bujhane lagii dil machalane lage
vaqt kii raushanii me.n nahaaii huii
zindagii pe ajab saa nikhaar aa gayaa
har taraf mastiyaan har taraf dilkashii
muskuraate dilon mein Khushii hii Khushii
kitanaa chaahaa magar phir bhii uTh na sakaa
terii mahafil mein jo ek baar aa gaya................

bichre hue logon ki sadayen maar deti hain
kuch parda nashinon ki adayaen maar deti hain
kisi ko raas aa jati hai badua dosto!
or kisi ko apno ki duayen maar deti hain
wo shaakh se totay hue bad-naseeb pattay
jinhen har musam main hawayen maar deti hain
kis ko dosh na do oski bewafai ka!
chahne waalon ko apni hi khatayen maar deti hain
hazaar ghum seh kar bh jo rehte hain wafa par qaaim
aise shehr-e-wafa logon ko wafayen maar deti hain..!!

Saturday, April 25, 2009
Kaho dukh K samander ka safar ab tak raha kaisa..?
Kaha, ujlay kinaaro’n ka koi imkaan daikha hay…
Kaho derya kinaaro’n say bhala kya guftugoo thehri??
Kaha, derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay…
Kaho kyun kis liyay khola yeh tum nay dil ka drwaza??
Bataaya dil K raston per koi mehmaan daikhha hay…
Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
Kaha, woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay…
Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga??
Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daikhha hay…
Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?
Kaha kal apni aankho’n ko bohot bay-jaan daikhha hay…!

Subscribe to:
Posts (Atom)